advertisement

Menu - Indian Law, Computer, Facts, Festival, Pauranik kathayen, Panchtantra kahaniyan,  Health care

Top 30 important bussiness ideas in hindi

Top 30  important bussiness ideas in hindi

Top 30  important bussiness ideas in hindi

yha hum kuch important bussiness ke bare main baat karege jo aapko bahut pasand aayenge

1- Shadi / Marriage Ka Aayojan  Ka Business

Friends shadi/ vivah, aur iske alawa birthday, pooja aadi evnts ko sahi tarah se aayojit karna aur inhi jaise aur bhi bahut saare events jo ki aksar har chhoti badi family main chahe wo city (shahar) ho ya village har jagah hote rehtey hain to iss tarah ke aayojano main bahut badi sambhavnay hoti hain paisa kamane kee.

jaisa ki aap aajkal jantey hongey ke bade bade shahro main aisee bahut se badi badi comanies hain jo ke event management ke naam se issee tarah k business main hain to dosto aap bhi aisa hee business start kar saktey hain apne shaahr ya gaon main beshak wo chhota ho lekin aagey jakar jaise ke hamari ek kahawat hai ke boond boond se hee sagar banta hai aagye chalkar aapka business bhi bada ho hee jayega.

2- Gaadion(Vehicles) Ke Liye Service Centre ka Business


My Friends yadi aap ko gaadio ke baare main thoda sa pata hai aur aapko gaadion ko theek karne main maza aata hai to aap kahi se thodi aur training le kar ek service center khol saktey hain.

Ya aap ek aisa business model bana saktey hain,  aapke shaher ya village ke liye jaha aap logo ko apna service kahi bhi 30 minute main de sake. Jaisa ke aajkal bade shahro main kayi chhotee chhotee companies kar rahi hain. Wo log aapse 1 saal ki service ke paise charge kar lete hain jo ke cars ke liye lagbhag 500 Rs. se 3500 Rs. tak hota hai aur bikes ke liye 300 Rs. se 1500Rs. tak hota hai, Alag Alag plans ke hisaab se.

Itne Rupees main wo aapko 1 saal tak yadi aapki gaadi kahi par bhi kharab hoti hai ya aapka tyre puncture ho jata hai ya aapki gaadi ka petrol khatyam ho jata hai ya koi doosri problem ho jaati hai to ye log aapke city ke 20-40 km. ke area main aapko service uplabdh karate hain jismain ye yadi petrol khatam ho gaya hai to aapse sirf petrol ke paise charge kartey hain.


3-  SEO Services (Search Engine Optimization) Ka Business

Dosto SEO aajkal bahot hee zaroori cheez hai kisee bhi website ke liye. Log aajkal website to banwa lete hain aur sochtey hain ki unki website par visit karke log saamaan bechane ya khareedne lagenge lekin dosto ye sunane main jitna aasaan lagta hai utna asal main hai nahi.

Bina SEO ke kisi bhi website ko aaj ke time main visitor nahi mil saktey hain. SEO ka matlab hota hai ke aapki website ko Search engines jaise ke yadi aap google par search kartey hain ya yahoo par search kartey hain to ye dono search engines hain aur in par yadi aapki website starting  ke page par nahi aayegi to aapki website ko log aasani se dhoond nahi payenge.

To dosto SEO service wahi service hai jaha aap aisee hee websites ko google ya yahoo jaise search engines main 1st page par latey hain, Aur yadi aapko SEO ki Knowledge hai to ye ek bahut hee badhiya option hai naya business start karne ke liye.

4- Cyber Cafe Ya Gaming Spot Ka Business


Mitro Cyber cafe ek bahot hee achha option hai kisi bhi Gaon ya Shahar main business ke liye kyuki aaj ka yug internet aur computer ka hai aur bina internet aur computer ke iss duniya ki kalpana karna bhi mushkil hai.

Aane wale samay main dosto internet ke avshyakta aur bhi adhik hone wali hai kyuke ab to governments main internet par hee har kaam karwana chahtee hain to dosto yadi aap Cyber cafe ka business start kartye hain to ye ek badhiya option hai.

Cyber cafe ke saath saath yadi aap Gaming spot bhi khol lain to ye aapke liye add on service ka kaam kar sakta hai jisse ki aap adhik se adhik customer attract kar saktey hain aur apni income ko bhi bahot badha saktey hain.


5- Distributorship Ya Dealership Ka Business

Bandhuoo Aaj kal saari badi badi compania apne business ko badhane ke liye jagah jagah distributor aur dealer banate hain jinka kaam hota hai ke wo log apne apne chhetra (Area) main uss company ke products sale karna hota hai.

6- Khana Banane Ka Business


Dosto Aaj kal jaise ki ham sabhi jaantey hain he ki logo ke paas time yani ke samay ki bahut hee kami hai kyuke aksar bade shahro main rehene wale logo main ghar ke mard ke saath saath ghar ki auratein bhi bahar job karne jaati hain to aisee sthiti main unke paas time ka abhav rehta hai.

Aap unke liye khaana baanane ke liye on call ya kahe ke on demand khana pakane wale logo ko bhejne ka business start kar saktey hain aaj duniya ke kayi bade bade shehro main ye business kafi chal raha hai.

7- Spa Ka Business


Dosto Spa ek bahut hee badhiya business hai aaj ke samay ke liye kyuki aaj ki bhaag daud wali zindagi main logo me stress kuchh zyada hee hogaya hai jiske wajah se logo main different different type ki beemariya bhi ho jati hain.
To aise main dosto log apne aap ko relax karne ke liye spa services provide kartey hain jo ki aajkal kaafi accha business ho sakta hai kisi bhi vyakti ke liye.


8- Bachcho Ki Dekhbhaal Ka Business


Dosto aaj kal kee iss bhagam bhag wali zndagi main bade cities main jaha ghar main pati aur patni dono bahar kaam karne jaatey hain to aisee sthiti main iss tarah ke parivaaro ko apne chhotey chhotey bachcho ki din main dekhbhaal ke liye Creche Service (Bachcho ki dekhbhaal) ki zaroorat hoti hai.

To aaj ke samay main Bachcho ki dekhwal ka businesss (Creche Service) ek bahut badhiya business saabit ho sakta hai agar aap chhotey chhotey bachcho ko pyaar kartey hain to aap iss business ko bahut enjoy bhee karaenge.

9- Pest Control Service Ka Business


Friends Jaisa kee ham sabhi log jaaantey hain ki ghar main keede makode, choohe, chhipkali, deemak, makdi aadi bahut saare chhoti chhoti doosre jantu jo ke hame hamesha pareshaan kartey hain aur haamre ghar ki auratey in cockroaches, chhipkali aadi ki wajah se bahut darti hain to iss samasya ka hal karne ke liye ap pest control services ka business start kar saktey hain jo ke chhotey ya bade shahar ya gaon main kahi bhi kiya ja sakta hai.

10- Organic Kheti Ka Business


Dosto yadi aap gaon (Village) main rehtey hain aur aapko lagat hai ke ki sirf shahar main rehne wale log hee kuchh badhiya kar saktey hain to dosto main aapko batana chahunga ke yadi aap kisaan hain aur aap kheti ke baare main jantey hain to aap organic fasal uga kar kafi paisa kama saktey hain.

Freinds aap soch rahe honge ke ye organic fasal hoti kya hai aur organic kheti kar kaise saktey hain, to dosto organic kheti kuchh nahi sirf itni hai ke aap jo bhi fasal karain usmain kisi bhi prakaar ke rasayan (chemical )ka prayog na karain yadi aap kho khad use karni hai to gobar aadi ki khad use karain aur urea use na karain etc.

kyuke aajkal shahro main bade bade Malls main, Big bazar ya jaha sabji , fal fruits, aadi biktey hain waha bade ghar ke log organic food khana chahtey hain aur ye sab cheezain aajkal bahut adhik daamo main biktey hain.

11- Courier Services ka Business


Bandhuvar Courier Ka dhanda bhi bahut hee badhiya hai. Yadi  aapko courier ke baare main thoda bahu pata hai ke kaise ye companies  courier deliver karti hai to aap bhi ya to kisi bhi acchi courier company ka collection & distribution center khol saktey.

Ya fir aap ye bhi kar saktey hain ke aap koi nayee company shuru karain lekin meri aapko ye hee salah hogi ke aap pehle kisi bhi company ke franchise ya collection & distribution center lain jisse ke aapko uskee working ka idea ho jaye uske baaad aap apna business bhi start kar saktey hain.


12- MS Office and Basic Computer Tutor


ye to ham sab ko pata hai ke computer ka basics agar aap jantey hain to aap usko teach bhi kar skatey hain kyuke aksar ham log chhotey chhotey kasbe se ya gaon se hote hain aur ham chahtey hain ke hame rozi roti ke liye kahi bahar bade shahar apni family ko chhodkar na jaana pade.

To dosto aap apne mohhale me hee basic computer sikhane shuru kar de ye ek accha kaam hai halaki ismain paisa utna nahi hai lekin yadi aap kisi badi university ya course ka affiliation le lete hain to usmain aapko bhi kaafi paisa mil jata hai.

13- Fashion Designing ka Business


Dosto fashion designing ka scope aaj ke time main ek dum se bahut hee badhh  gaya hai. aajkal koi bhi purane ya regular style ke clothes pehanna nahi chahta hai har koi alag dhikhne ki chah rakhta hai. 

To aap fashion designing ka course karke jo bhi bade fashion houses hain (aap internet per search kar le about fashion houses).

Unke liye design kar saktey hain ya aap khud ka business bhi start kar saktey hain iske liye aap apne promotion ke liye Facebook, Twitter, Linkedin, Google+ ko use kar saktey hain in sabhi social sites par aap groups join kare dsigning se related aur waha par apni designs ko show kar sakti hain lekin dhyan rahe ki design chpori hone ka khatra isme rehta hai.


14- Transportation Services Ka Business

Mitro passenger transporation services ka business ek bahut hee badhiya idea hai kyuke aajkal kisi bhi bade shahar jaise ke agar ham baat karain Delhi, Noida, Gurgaon, Ghaziabad, Banglore, Hydrabad, Mumbai, ya koi bhi bade shahar jaha par bahut saari companies hain aur jab companies hain to unmain kaam karne waale employees bhi honge to unko unke ghar se office tak bhi jana padega aur wapas ghar bhi aana padega to uske liye kisi nam kisee transportaion ki zaroorat to padegi hee.

Aaj kal aisee hazaro lakho companies hain India main jo ki transportaion ka business kar rahi hai passengers yani ke generally companies ke employess ke liye to dosto aap bhi ye business start kar saktey hain aapko bas itna karna hai ke aapko un compnaies  se jakar baat karni hain jaha par companies employees ke liye ye suvidha deti hain aur aapko unse contract sign karna hoga.

Iske liye aapko uss company ki requirement ke hisaab se Vehicles yani ke cars purchase karni hogi aur iske alawa aapko uss cars jinhe ham cabs bhi kehte hain ke liye drivers ki bhi zaroorat hoti hai.

Yaha main aapko batana chahunga ke iss business main sabse badi problem Drivers ko manage karne ki hee hoti hai iske alawa accident ka darr bhi hamesha laga rehta hai aur cabs ke maintenance ka kharch bhi kaafi zyada hota hai.

15- Bakery Kholna Aur Bakery Products ka Business


Dosto Bakery Products yani ke Biscuits, Paape, Cake, Fen aaadi sadabahr cheezain hain jo ke har insaan ko zaroorat hoti hai aur aagey bhi zaroorat rahegi kyuke jeena agar zaroori hai to khana bahut zaroori hai.

To dosto aap bakery kholker apna business start kar saktey hain aur bakery products ke business se bahut hee adhik paisa bhi kama saktey hain kyuke ham sabhi log jaantey hain ki food business main lagbhag 30% se 40%  ka margin to hota hee hai.

16- Stock Trading Ka Business


Friends Stock Trading ya share trading yani ke share market main bahut paisa hai unke liye bhi jo ke share khareedtey aur bechtey hain yani aam aadmi jo ki apne paiso ko invest kartey hain aur ek wo hota hai jo ki uss aam aadmi ko share khareedne aur bechne ke liye platform muhaiyya kaaata hai yani ke broker agency.

To dosto aap share broking agecy khol  saktey hain, iske alawa aap khud bhi share trading kar saktey hain.

17- Freelance Writing Ka Business


Mitro Freelance writing ek bahut hee badhiya business idea hai shuruvaat main aap aisee companies, newspapaer ya magazine search kijiye jinko writers ki zaroorat hoti hai yaha par aap apne articles likihiye iske alawa aaap apna blog bhi bana saktey hain jaha aap usme jo bhi aap jantey hain uss se related article likh saktey hain.

Aur jab aapke paas zyada kaam aa jaye to aap aur doosre logo ko bhi apne yaha kaam par rakh saktey hain.

18- Photoshop, Corel Draw Designing Ka Business


Dosto Yadi aap Photoshop Corel Draw ya doosre designing software ke baare main jaankaari rakhtey hain to aap apna printing business bhi start kar saktey hain isme aap kisi bhi tarah ke banner, poster, flex, standees ko designing kar saktey hain aur fir unko print karwa kar de saktey hain iske alawa visiting card printing, paphlate designing and printing etc. ka businesss kar saktey hain.


19- WebSite Banakar Online Naya Business Shuru Karain


Friends aap ek nayi website banakar ya banvakar online apna business start kar saktey hain wo kisi bhi cheez se related ho sakta hai usmain aap kisi bhi product se lekar kisi bhi service tak kuchh bhi khareedne ya bechene ka kaam start kar saktey hain.
Ya aap kisi bhi badi website par jaise ki Snapdeal, Flipkart, jabong, Amazon kisi bhi website per as a vendor ban kar register kar le aur waha par aap koi bhi cheez sale kar saktey hain.

20- Job Consultancy Ka Business

Dosto Job Consulting bhi ek bahut badhiya business hai aaj ke time main Aaj kal bade cities main Bahut saree companies hoti hain aur har company main employees ki zaroorat hoti hai aur har company main daily bahut sare log company join kartey hain aur bahut se log companies se resign kartey hai.

To har samay companies ko naye logo ki zaroorat padti hai to unko dhoodne ke liye ye log consultancy services ki help lete hain.
Aap bhi aisee he consultancy khol saktey hain iske liye aapko bas itna karna ke ya to badi badi companies main aapke kucchh contacts hone chahiye ya un companies ke HR department main contacts hone chahiye.

Ya fir aap Naukari.com, monster.com, indeed.com, Shine.com, Glassdoor.com, careerbuilder.com etc.

21- Petrol Pump Ya Gas Station Ka Business

Dosto Waise to petrol Pump ya Gas Station ka business kholna aasaan nahi hai kyuke iske liye bahut saree permissions ki zaroorat hoti hai aur iske liye aapke kuchh bahut hee acchhe contacts bhi hona chahiye lekin dosto yadi aapke pass ye saaree cheezain ok hain to fir ye aapke liye life long bahut hee badhiya business sabit hoga.

22- Gym Ya Fitness Club Ka Business


friends aap fitness center khol saktey hain ya gym khol saktey hain aur yadi aapka gym chal nikla to fir aap isko badha bhi saktey hain aur fir aap apne gym ya fitness cetre ki franchise bhi khol saktey hain kyuke aajkal ke iss bhag dhod wali zindagi main log paisa to kama lete hain lekin apni sehat ke baare main bhool jaatey hain lekin aaajkal log apni sehat ke liye bhi bahut chinta karne lage hain to ye aapke liye ek fayde ka business saabit ho sakta hai.

23- Car Aur Bike Bechne Aur Khareedne Ka Business


Dosto aajkal car aur bike ki zaroorat kisko nahi hai har ek insaan chahta hai ke uske baad car ya bike ho to dosto aap car ya bike ka sale and purchase ka business start kar saktey hain.
Iske alawa aap iss business ko online bhi kar saktey hain kyuke aajkal aisee bahut saree websites hain jo ki aisa hee kaam kar rahi hai. to aap bhi aisa kaam kar saktey hain iss business main bahut paisa hai dosto.

24- Ice Cream Parlor and Fruit Juice Shop Ka Business


Friends Ice Cream Parlor ya Juice ka business bhi bahut badhiya hai dosto aap apne naam se koi naya brand satrt kar saktey hain aur un shops ko shahar ke alag alag markets main sart kar saktey hain ek baar agar business chal nikla to fir bas aapko aur doosri jagaho par shop kholna hai ya to franchise baatna hai.

25- Mombatti (Candle) Ya Agarbatti ka Business


Dosto Mombatti yani ke candle jo ke hamlog aksar istemal kartey hain kyuke Light to har jagah hee jaati hai to dosto aap mombatti banane ka business start kar saktey hain.
Iske saath saath aap agarbatti ka business bhi start kar saktey hain kyuke agar batti bhi aajkal lagbhag har ek ghar main zaroorat hoti hai kyuke agarbatti pooja karne ke kaam aati hai aur saath hee saath ghar ko bhi khushboo se mehkaati hai.

26- Cleaning Services

Dosto jaise jaise hamara desh tarraki kar raha hai waise hee hamare desh main shopping Malls aur bade bade jagah jaise ke Schools, railway stations Bus stands or basically bahut saaree badi badi companies ko saaf safai ki zarrorat hoti hai badi badi buildings ke sheeshe andar aur bahar dono tarf se saaf rakhne hotey hain et.

Dosto Cleaning services ka business bhi aajkal zoro par hai logo ko iskee aajkal bahut hee zarrorat pad rahee hai bade shehro main to ye bahut hee badhiya business. hai.

27- Chit Funds , Patti, Lottery Ka Business


Mitro Lottery, Patti, ya Chit funds bhi ek accha business hai jismain ke aap logo ka ek group baanakar unse paise jama karne ke liye kehtey hain aur un sab logo ke naam ki chits (patti) ko daalkar kisi bacche se usmain se ek chit ko nikalne ke liye boltey hain usme se jo chit nikalti hai usme jis ka bhi naam hota hai usko wo paise de diye jaatey hain. aur baaad main usko har month main kisht ke taur par paise jama karne hote hote hai.

28- Construction Aur Earth Moving Vehicle Ka Business


Cranes, trucks aur doosre bade vehicles jo ke construction ya infrastructure aadi main use hoti hai ya aise vehicles jinse ke transportation ke liye use kartey hain jaise ke truck, bus, metador etc.

Agar aapke paas aise vehicle hain ya aap itna investment kar saktey hain to ye business aapke liye hai.

29- Call Center Ka Business


Dosto aajkal Call Center ka business zoro par hain aisee bahut saare companies hain jaha per customer support ke liye customer service center ki zaroorat hoti hai to bahut see companies apne kaam ko aise hee call center ko outsource kar dete hain.

To dosto aap bhi aise hee kisi company se agreement karke apna khud ka call canter start kar saktey hain aur apne business ko badhane ke liye aap aise hee aur doosri companies ke saath agreement karke apne business ko badha saktey hain.


30- Newspaper Aur Magazine Distribution Ka Business


Dosto aap magazine ke ditributor ban saktey hain ya kisi news paper ke distribution ka business bhi start kar saktey hain kyuke iske saath saath bahut se aise log hote hain jo ki News paper ya Magazines main advertisement nahii de saktey hain to wo log apne Pamphlet, ya stickers ko news paaper main dalwane ya chipkane ke liye apko contract bhi dete hain aur aisa hee kayi acchi magazines ke liye bhi hai.